Skip to main content

thii wasl meN bhii fikr-e-judaa'ii tamaam shab
wo aaye bhii to niiNd na aayii tamaam shab

waaN taanah tiirbaar, yahaaN shikvah zaKhmrez
baaham thii kis maze kii laRhaayii tamaam shab

raNgiiN hai Khoon-e-sar se wo haath aaj-kal, rahe
jis haath meN wo dast-e-hinaayi tamaam shab

taaloo se yaaN zabaan sahar tak naheeN lagee
thaa kis ko shaGhl-e-naGhma-saraayi tamaam shab?

yakbaar dekhte hee mujhe Ghash jo aa gayaa
bhoole the woh bhii hoshrubaayi tamaam shab

mar jaate kyoN na subH ke hote hii hijr meN
takleef kaisii-kaisii uThaayi tamaam shab

garm-e-jawaab-e-shikwah-e-jaur-e-u'doo rahaa
us sho'lah-Khoo ne jaan jalaayi tamaam shab

kahtaa hai mahwish tumheN kyoN Ghair, gar nahiiN
din bar hameshah wasl-e-judaayi tamaam shab

dhar paa'ooN aastaaN pe ke is aarzoo meN aah
kii hai kisii ne naasiyaah-saayi tamaam shab

'Momin'! maiN apne naaloN ke sadqe ke, kahte haiN
us ko bhii aaj neeNd nah aayi tamaam shab

Rate this poem
No votes yet
Reviews
No reviews yet.