Skip to main content
Author

muttafaavate.n hai.n mere Khudaa ki ye tuu nahii.n koii aur hai
ki tuu aasamaan pe ho to ho pisar-e-zamii.n koii aur hai

vo jo raaste the vafaa ke the ye jo manzile.n hai.n sazaa kii hai.n
meraa hamsafar koii aur thaa meraa hamnashii.n koii aur hai

mere jism-o-jaa.N me.n tere sivaa aur koii bhii duusaraa
mujhe phir bhii lagataa hai is tarah ki kahii.n kahii.n koii aur hai

mai.n asiir apane gazaal kaa mai.n faqiir dasht-e-visaal kaa
jo hiran ko baa.Ndh ke le gayaa vo subuktagii.n koii aur hai

Rate this poem
No votes yet
Reviews
No reviews yet.