Skip to main content
Author

gam raha jab tak k dam main dam raha
dil k jane ka nihayat gam raha

husn tha tera bahot alam fareb
khat k ane par bhi ik alam raha

mere rone ki haqiqat jis main thi
ek muddat tak wo kagaz nam raha

jama-e-eharam-e-zahid par na ja
tha haram main lekin na-mahram raha

Rate this poem
No votes yet
Reviews
No reviews yet.