Skip to main content

dabegi kab talak aawaaz-e-aadam, ham bhi dekheiNge
rukeiNge kab talak jazbaat-e-barham, ham bhi dekheiNge
chalo yuuN hi sahii ye jaur-e-paiham, ham bhi dekheiNge

dar-e-zindaaN se dekheiN ya urooj-e-daar se dekheiN
tumheiN ruswaa sar-e-baazaar-e-aalam ham bhi dekheiNge
zaraa dam lo ma'aal-e-shaukat-e-jam ham bhi dekheiNge

ba-zom-e-quwwat-e-faulaad-o-aahan dekh lo tum bhii
ba-faiz-e-jazbaa-e-iimaan-e-mohkam ham bhi dekheiNge
jabeen-e-kaj-kulaahii Khaak par Kham ham bhi dekheiNge

mukaafaat-e-amal taareeKh-e-insaaN kii rawaayat hai
karoge kab talak naawak faraaham ham bhi dekheiNge
kahaaN tak hai tumhaare zulm meiN dam ham bhi dekheiNge

ye hangaam-e-widaa-e-shab hai aie zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnaar parcham ham bhi dekheiNge
tumheiN bhi dekhna hoga ye aalam ham bhi dekheiNge

Rate this poem
No votes yet
Reviews
No reviews yet.