Skip to main content

Aadmi Chonk Chuka hai magar utha tou nahi
main jisey dhoondh raha hon yeh woh dunya tou nahi

Rooh se dara mila, dard se aankhain na milin
Tujh ko mehsoos kiya hay, tujhay dekha tou nahi

Rang si shakal mili hay tujhay khoushboo ka mizaj
lala o gul kahen tera he sarapa tou nahi

Chehera dekhon tou khadokhal badal jate hain
Chup k aainey k peechey koi betha tou nahi

Phaink ker maar zameen per na zamaney! mujh ko
toot he jaaonga jesey main khilona tou nahi

Zindagi, tujh se her ek saans pe samjhota karon
shoq jeeney ka hay mujh ko magar itna bhe nahi

Meri aankhon main tere naqsh-e-Qadam kesey hain
iss saraaye main musafir koi tehra tou nahi

Sochtey sochtey dil doobney lagta hay mera
Zehen ki teh main muzaffar koi Darya tou nahi

Rate this poem
No votes yet
Reviews
No reviews yet.